mujh ko ye jān-o-dil qubūl naġhme ko naġhma hī samajh
saaz ye bīt.tī hai kyā ye bhī kabhī kabhī samajh
ishq hai tishnagī kā naam toḌ de gar mile bhī jaam
shiddat-e-tishnagī na dekh lazzat-e-tishnagī samajh
husn kī mehrbāniyāñ ishq ke haq meñ zahr haiñ
husn ke ijtināb tak ishq kī zindagī samajh
tark-e-ta.alluqāt bhī ain-e-ta.alluqāt hai
aag bujhī huī na jaan aag dabī huī samajh
aql ke kārobār meñ dil ko bhī rakh sharīk-e-kār
dil ke muāmalāt meñ aql ko ajnabī samajh
ġhuncha-o-gul ke saath saath dil kī taraf bhī ik nazar
shefta-e-shaguftagī vaj.h-e-shaguftagī samajh
aise bhī raaz haiñ 'ḳhumār' hote nahīñ jo āshkār
apnī hī mushkileñ na dekh un kī bhī bebasī samajh