ik pal meñ ik sadī kā mazā ham se pūchhiye
do din kī zindagī kā mazā ham se pūchhiye
bhūle haiñ rafta rafta unheñ muddatoñ meñ ham
qistoñ meñ ḳhud-kushī kā mazā ham se pūchhiye
āġhāz-e-āshiqī kā mazā aap jāniye
anjām-e-āshiqī kā mazā ham se pūchhiye
jalte diyoñ meñ jalte gharoñ jaisī zau kahāñ
sarkār raushnī kā mazā ham se pūchhiye
vo jaan hī ga.e ki hameñ un se pyaar hai
āñkhoñ kī muḳhbirī kā mazā ham se pūchhiye
hañsne kā shauq ham ko bhī thā aap kī tarah
hañsiye magar hañsī kā mazā ham se pūchhiye
ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai 'ḳhumār'
tauhīn-e-mai-kashī kā mazā ham se pūchhiye