ye misra.a nahīñ hai vazīfa mirā hai
ḳhudā hai mohabbat mohabbat ḳhudā hai
kahūñ kis tarah maiñ ki vo bevafā hai
mujhe us kī majbūriyoñ kā patā hai
havā ko bahut sar-kashī kā nasha hai
magar ye na bhūle diyā bhī diyā hai
maiñ us se judā huuñ vo mujh se judā hai
mohabbat ke māroñ pe fazl-e-ḳhudā hai
nazar meñ hai jalte makānoñ kā manzar
chamakte haiñ jugnū to dil kāñptā hai
unheñ bhūlnā yā unheñ yaad karnā
vo bichhḌe haiñ jab se yahī mashġhala hai
guzartā hai har shaḳhs chehra chhupā.e
koī raah meñ ā.īna rakh gayā hai
baḌī jaan levā haiñ maazī kī yādeñ
bhulāne ko jī bhī nahīñ chāhtā hai
kahāñ tū 'ḳhumār' aur kahāñ kufr tauba
tujhe pārsāoñ ne bahkā diyā hai