Majaz Jaipuri

aise chhute hain tasawwur mein tujhe hum chup-chap

Majaz Jaipuri

Bharatpur, Rajasthan, India

1937
aise chhūte haiñ tasavvur meñ tujhe ham chup-chāp
jaise phūloñ ko chhuā kartī hai shabnam chup-chāp
tark-e-ulfat pe bhī kar jaate haiñ akasr gumrāh
mere ḳhvāboñ ko tire gesu-e-pur-ḳham chup-chāp
jaise kartī hī nahīñ tañg hameñ ye ma.asūm
kaise jaatī hai shab-e-hijr sahar-dam chup-chāp
koī miltā hī nahīñ us ko suḳhan kā mauzūa
baiThī rahtī hai mere paas shab-e-ġham chup-chāp
shorish-e-vaqt ne baḳhshī nahīñ jā-e-afsos
ya.anī karnā hī paḌā ziist kā mātam chup-chāp
mauj-e-hañgām-e-charāġhāñ hai na vo rañg-e-abīr
shoḳhī-e-īd bhī ḳhāmosh moharram chup-chāp
merī āñkheñ haiñ tire husn kī goyā tasvīr
maiñ ne dekhā hai tire husn kā aalam chup-chāp
daur-e-iblīs ke ye bāda-gusārān 'majāz'
piite rahte haiñ jahannam kā jahannam chup-chāp
Top Urdushayar.com