manzar ka.ī bārish se zamīñ par utar aa.e
peḌoñ kī tarah logoñ ke chehre nikhar aa.e
mohkam na zamīñ se ho ta.alluq hī jaḌoñ kā
us peḌ pe aa.e bhī to kaise samar aa.e
paspā.ī nahīñ hai to hai pachhtāvā yaqīnan
ham log jo manzil se bhī aage guzar aa.e
shāyad kisī mahrūmī kā iz.hār huā hai
mazmūn mohabbat ke jo sheroñ meñ dhar aa.e
maḳhlūq samajh baiThe na is ko koī tairāk
jo sat.h pe paanī kī kabhī laash ubhar aa.e
ho kar nazar-andāz jiyā kab 'valī' terā
kahnā vo sarāpā-e-tajassus agar aa.e