Shah Room Khan wali

ye jaur-e-dast-e-zamana kaha kaha na kaha

Shah Room Khan wali

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1986
ye jaur-e-dast-e-zamāna kahā kahā na kahā
ki dil kā haal kabhī aap ne sunā na kahā
jo baat tum se thī kahnī faqat tumhī se kahī
har ek bazm meñ ye dil kā mājrā na kahā
ye log raa.ī kā parbat banā rahe yūñhī
tire ravayye ko ham ne to nāravā na kahā
ḳhudā kā shukr sitam nāgavār bhī na lage
ḳhudā kā shukr kabhī tum ko bevafā na kahā
use nahīñ hai shikāyat to dūsrī koī
use gila hai ki kyoñ hāsil-e-duā na kahā
ḳhalish sī zehn meñ le kar hamesha phirtā rahā
sitam ko jab bhī burā maiñ ne barmalā na kahā
'valī' ġharībī meñ kam to nahīñ hai ye e.azāz
zamīñ ke bande bashar ko kabhī ḳhudā na kahā
Top Urdushayar.com