terī girah meñ maal faqat chaar din kā hai
jazboñ meñ ishti.āl faqat chaar din kā hai
bām-e-urūj par bhī kabhī ā.ūñgā zarūr
ham-dam mirā zavāl faqat chaar din kā hai
kis ko ḳhabar sahāb kahāñ jā ke ro.egā
mausam ye barshgāl faqat chaar din kā hai
terī samā.atoñ ke hunar ko mile davām
merā suḳhan kamāl faqat chaar din kā hai
ham ishq-e-lā-zavāl ke daa.im marīz haiñ
achchhā ye hāl-chāl faqat chaar din kā hai
gardan kaTā ke ham yahī kahte rahe 'valī'
zaḳhmoñ kā indimāl faqat chaar din kā hai