jab bhī parāyā tel jalāyā charāġh meñ
paivand tīrgī kā lagāyā charāġh meñ
hai mushtarak nazāra-o-nazzārgī kā vasf
ik aañkh meñ to duujā banāyā charāġh meñ
chalne lagī hai umr-e-guzishta kī jaise film
yādoñ ne kaisā rañg jamāyā charāġh meñ
tujh ko bashar ke ruup meñ aayā nahīñ nazar
maiñ to ḳhudā ko dekh ke aayā charāġh meñ
ījād apnī maz.har-e-fitrat dikhā.ī dī
rab ne mujhe vo aks dikhāyā charāġh meñ
maujūd hī na thā jo dikhā.ī diyā 'valī'
us shoḳh ne bhī aks milāyā charāġh meñ