Majaz Jaipuri

kuchh gardish-e-zamana kuchh aarzu kare hai

Majaz Jaipuri

Bharatpur, Rajasthan, India

1937
kuchh gardish-e-zamāna kuchh aarzū kare hai
baaqī jo bach rahe hai vo kaam tū kare hai
ḳhūn-e-jigar kare hai dil ko lahū kare hai
ye daur aadmī ko yuuñ surḳh-rū kare hai
motī hai ye palak par ruḳhsār par hai shabnam
gir kar zamīñ pe aañsū be-ābrū kare hai
zindāñ kī dil-shikasta tanhā.iyoñ meñ koī
dīvār-o-dar se jaane kyā guftugū kare hai
har zarra mai-kada hai ye tishnagī salāmat
kyuuñ mātam-e-shikast-e-jām-o-subū kare hai
kuchh mo'tabar nahīñ hai asvad ho yā ki marmar
in pattharoñ ke aage kyā aarzū kare hai
kab kā guzar chukā hai dīvāngī kā aalam
phir bhī 'majāz' apnā dāman rafū kare hai
Top Urdushayar.com