ġhazal jab taaza kahtā huuñ purānī bhuul jaatā huuñ
fasāna likhne baiThūñ to kahānī bhuul jaatā huuñ
mirī raftār duniyā se bahut hī tez hotī hai
ragoñ meñ ḳhuun kī aksar ravānī bhuul jaatā huuñ
mire hāthoñ meñ jab bhī vo hinā.ī haath rakhtī hai
maiñ bāteñ sab zamīnī aur zamānī bhuul jaatā huuñ
maiñ nūr-e-āgahī ke qurmuzī-dhāroñ meñ rahtā huuñ
añdherī shab ke māthe kī nishānī bhuul jaatā huuñ
maiñ sāhil par khaḌā huuñ ye samundar muztarib kyoñ hai
maiñ in sochoñ meñ gum siipī uThānī bhuul jaatā huuñ
kisī būḌhe shajar par jab 'valī' merī nazar jaa.e
buḌhāpe ke tasavvur meñ javānī bhuul jaatā huuñ