kuchh bhī miyān-e-dūd dikhā.ī nahīñ diyā
hākim tujhe jumūd dikhā.ī nahīñ diyā
aayā ḳhayāl 'mīr' 'taqī' 'mīr' kā mujhe
apnā kahīñ vajūd dikhā.ī nahīñ diyā
tahrīk mere jazboñ ko is se mile sadā
kyoñ jalva-e-hasūd dikhā.ī nahīñ diyā
badlā sabhī ne rañg to ye bhī badal gayā
charḳh-e-kuhan kabūd dikhā.ī nahīñ diyā
sab fāsle ubuur nigāhoñ ne kar liye
chāroñ taraf umuud dikhā.ī nahīñ diyā
dushman kī saf meñ jis se mache khalbalī sadā
vo manzar-e-sujūd dikhā.ī nahīñ diyā
har shai guzar rahī hai taġhayyur se dosto
kuchh bhī to be-numūd dikhā.ī nahīñ diyā
maiñ jis ke ās-pās rahā umr bhar 'valī'
us ko mirā vajūd dikhā.ī nahīñ diyā