Raunaq Deccani

niyaz-agin hai aur naz-afrin bhi

Raunaq Deccani

niyāz-āgīñ hai aur nāz-āfrīñ bhī
agar sajde meñ jhuk jaa.e jabīñ bhī
haq-āgāhī se uTh jā.eñge parde
nazar ho nukta-ras bhī nukta-chīñ bhī
diloñ meñ chāhiye vus.at-nigāhī
badal jaatī hai chashm-e-ḳhashmagīñ bhī
haqā.eq par jamī hai gard-e-bātil
hai gum vahmoñ meñ ehsās-e-yaqīñ bhī
salāmat un kā dāman be-ḳhudī meñ
liyā hai ham ne kār-e-āstīñ bhī
ujāle haiñ mire qalb-o-nazar ke
ye mehr-e-zau-fishāñ māh-e-mubīñ bhī
ba-faiz-e-talḳhī-e-hālāt 'raunaq'
ibārat zahr se hai añgbīñ bhī
Top Urdushayar.com