Raunaq Deccani

jab kabhi yaadon ka darwaza khula aaKHir-e-shab

Raunaq Deccani

jab kabhī yādoñ kā darvāza khulā āḳhir-e-shab
koī dar aayā ba-andāz-e-havā āḳhir-e-shab
ham pashemān idhar aur udhar vo nādim
shaam kā bhūlā huā aa hī gayā āḳhir-e-shab
dil ke āñgan meñ ba-sad naaz thā vo mahv-e-ḳhirām
phuul hī phuul thā naqsh-e-kaf-e-pā āḳhir-e-shab
kar sakā pesh na uryānī kā jab koī javāz
aa gayā oḌh ke mariyam kī ridā āḳhir-e-shab
sāñvlī shaam kī zulfoñ ke parastār tamām
ho ga.e aap hī masrūf-e-duā āḳhir-e-shab
niiñd aa hī ga.ī vāmāñda the a.asāb tamām
ThanDī ThanDī jo chalī mauj-e-sabā āḳhir-e-shab
vo kasak murġh-e-sahar kī thī navā meñ 'raunaq'
dil pe ik nashtar-e-ehsās lagā āḳhir-e-shab
Top Urdushayar.com