ba-nām-e-paikar-ḳhākī na gard ban jaao
miyān-e-shahr na sahrā-navard ban jaao
bagūlā ban ke uTho baiTh jaao ban ke ġhubār
bikhar ke hāsil-e-sahrā-e-gard ban jaao
hai ijtimā-e-anāsir se zindagī kī numūd
aur iqtazā-e-qazā fard fard ban jaao
rag-e-hayāt ko garmāo garmī-e-ḳhūñ se
ye kyā ki vaqt-e-amal jism-e-sard ban jaao
nigār-ḳhāna-e-hastī kā saath do 'raunaq'
ḳhushī ke sāmne tasvīr-e-dard ban jaao