khul gayā shāyad bharam ai dil junūñ ke raaz kā
badlā badlā sā nazar aatā hai ruḳh dam-sāz kā
gūñjtī hai ab bhī kānoñ meñ sadā-e-bāzgasht
TūTnā dil kā thā ik naġhma shikasta-sāz kā
māh-o-anjum meñ bhī us kā husn jalva-rez hai
āftāb ik aks hai husn-e-karishma-sāz kā
ik parī-ḳhāna hai ye shahr-e-hasīñ lekin yahāñ
koī chehra bhī nazar aayā na us andāz kā
kis qadar rañgīñ hai tartīb-e-kitāb-e-zindagī
is meñ afsāna hai shāyad tere husn-o-nāz kā
shoḳhiyāñ phūloñ se jab karne lagī bād-e-sahar
bārhā dhoka huā hai aap kī āvāz kā
apnā harf-e-ārzū bhī kyā qayāmat hai 'nazīr'
dāstāñ-dar-dāstāñ hai harf harf us raaz kā