Nazeer Rampuri

gham hai khane ko ashk pine ko

Nazeer Rampuri

ġham hai khāne ko ashk piine ko
ye bhī kam kyā hai apne jiine ko
dil meñ hargiz na rakhiye kiine ko
aur bhī ġham bahut haiñ jiine ko
apne dil meñ chhupā.e phirtā huuñ
maiñ tire dard ke dafīne ko
jis ko kahtī hai ashk-e-ġham duniyā
koī dekhe to is nagīne ko
mauj-dar-mauj aa rahī hai sadā
Duub jaane do ab safīne ko
laag meñ hai lagāo kā andāz
kaun samjhegā is qarīne ko
sochtā huuñ ki kis se duuñ tashbīh
is jabīñ par hasīñ pasīne ko
ishq ne kar diyā hai mujh ko nihāl
dekhiye dard ke ḳhazīne ko
shikva bar-haq 'nazīr' ye socho
Thes pahuñchegī ābgīne ko
Top Urdushayar.com