Nazeer Rampuri

hijr ki shab mein bayan kis se main rudad karun

Nazeer Rampuri

hijr kī shab meñ bayāñ kis se maiñ rūdād karūñ
un kā parda bhī rakhūñ apnī bhī fariyād karūñ
āh-o-nāla na karūñ aur na fariyād karūñ
sochtā huuñ maiñ unheñ kis tarah ab yaad karūñ
mahfil-e-ġhair meñ vo mujh ko mileñ to ai dil
kis tarah zikr tirā ai dil-e-nāshād karūñ
mā-sivā tere nazar meñ koī jachtā hī nahīñ
ḳhāna-e-dil meñ tujhe kyuuñ na maiñ ābād karūñ
zaḳhm hī zaḳhm mohabbat haiñ mire dil meñ agar
sochtā huuñ ki bayāñ kaise ye rūdād karūñ
dil azal hī se hai maa.il jo hasīnoñ kī taraf
kyuuñ mohabbat ke gharoñdoñ ko maiñ barbād karūñ
charḳh-e-be-mehr se kam tū bhī nahīñ hai zālim
āshiyāñ kaise havāle tire sayyād karūñ
kaisī mushkil sī hai mushkil ye na pūchhūñ mujh se
kis tarah zehn-e-pareshāñ ko maiñ āzād karūñ
shab kī tanhā.ī meñ aksar yahī sochā hai 'nazīr'
yaad kar kar ke tujhe dil ko to ab shaad karūñ
Top Urdushayar.com