vo nahīñ hai to zindagī kaisī
is añdhere meñ raushnī kaisī
dil kī barbādiyoñ ke mātam par
zer-e-lab hai tire hañsī kaisī
kaun rah rah ke yaad aatā hai
dil meñ rahtī hai bekalī kaisī
soz-e-dil ne badan jalā Daalā
phir mire ruḳh pe tāzgī kaisī
ham-safar ho ke kārvāñ lauTā
rahbarī meñ ye rahzanī kaisī
mujh ko ehsās-e-āsmāñ na rahā
chhāñv zulfoñ kī thī ghanī kaisī
mujh se barbād-e-ishq par ai dost
mahv-e-hairat huuñ barhamī kaisī
rasm-e-duniyā ajiib hai yaaro
ġham hī ġham hai yahāñ ḳhushī kaisī
dil kī duniyā tabāh kar Daalī
ye sharārat ye dil-lagī kaisī
kis kī nazroñ meñ aa gayā maiñ 'nazīr'
mere sheroñ meñ naġhmagī kaisī