Nazeer Rampuri

zaKHm-e-ulfat ayan nahin hota

Nazeer Rampuri

zaḳhm-e-ulfat ayaañ nahīñ hotā
aañkh se ḳhuuñ ravāñ nahīñ hotā
husn ko sirf vahm hai varna
ishq to bad-gumāñ nahīñ hotā
koī manzil bhalā qadam chūme
azm jab tak javāñ nahīñ hotā
dekhiye to naqāb ulaT ke zarā
chāñd kab tak ayaañ nahīñ hotā
dekh kar ġham-zada se kuchh chehre
dard-e-dil kyuuñ ayaañ nahīñ hotā
koh-o-sahrā ho dasht-e-aiman ho
guzar apnā kahāñ nahīñ hotā
phuul kaise vahāñ na ḳhaar lageñ
zikr terā jahāñ nahīñ hotā
maiñ to kyā dil bhī merā us kā hai
jo kabhī mehrbāñ nahīñ hotā
zor-e-tūfāñ hai duur sāhil hai
nāḳhudā mehrbāñ nahīñ hotā
rāz-dāñ kis ko kis tarah samjhūñ
rāz-e-dil to bayāñ nahīñ hotā
sheriyat sher meñ ho kaise 'nazīr'
zehn jab tak ravāñ nahīñ hotā
Top Urdushayar.com