Ata Husain Kaleem

Dhala jo din to gaya nur-e-aftab bhi sath

Ata Husain Kaleem

Dhalā jo din to gayā nūr-e-āftāb bhī saath
shabāb le gayā ra.anā.ī-e-shabāb bhī saath
vo saath thā to shab-e-zindagī charāġhāñ thī
jilau meñ rahte the anjum bhī māhtāb bhī saath
hayāt kyā hai faqat musta.ār-e-lamha-e-shauq
ye kah ke le ga.ī mauj-e-havā habāb bhī saath
isī meñ ḳhair hai nazreñ jhukī raheñ varna
nazar uThegī to jal jā.egā naqāb bhī saath
hamīñ se raunaq-e-hastī hai is ḳharābe meñ
jo ham miTe to miTegī ye āb-o-tāb bhī saath
hayāt dard kī tuġhyāniyoñ meñ Duubī hai
ġham-e-habīb bhī hai ziist ke azaab bhī saath
ḳhudā-e-arsh-e-suḳhan se huuñ faizyāb 'kalīm'
ki tūr-e-sher se laayā huuñ maiñ kitāb bhī saath
Top Urdushayar.com