paiġhām-e-shabāb aa rahā hai
shāḳhoñ pe gulāb aa rahā hai
jazbe kā parinda kyuuñ na taḌpe
rāhoñ meñ sarāb aa rahā hai
hoshyār rahe ḳhirad kī mahfil
ik ḳhāna-ḳharāb aa rahā hai
sarshār haiñ vaqt ke kaTore
jām-e-mai-e-nāb aa rahā hai
is tarah shafaq ko niiñd aa.ī
ehsās ko ḳhvāb aa rahā hai
insān hai be-hayā kuchh aisā
haivāñ ko hijāb aa rahā hai
tāroñ kī nigāh kyuuñ na chamke
chehre pe naqāb aa rahā hai
korā hai ye hāshiya ḳhudī kā
hastī kā vo baab aa rahā hai
uñglī meñ ubhar rahī hai sozish
hāthoñ meñ rubāb aa rahā hai
pūchhā jo savāl āsmāñ se
dhartī se javāb aa rahā hai
ghultā hai dimāġh ai 'karāmat'
sar par jo azaab aa rahā hai