vo sach ke chehre pe aisā naqāb chhoḌ gayā
ruḳh-e-hayāt pe jaise azaab chhoḌ gayā
natīja koshish-e-paiham kā yuuñ huā ulTā
maiñ āsmān pe mauj-e-sarāb chhoḌ gayā
vo kaun thā jo mirī zindagī ke daftar se
hurūf le gayā ḳhālī kitāb chhoḌ gayā
bahār ban ke vo aayā gayā bhī shaan ke saath
ki zard pattoñ pe rañg-e-gulāb chhoḌ gayā
mire lahū meñ jo aayā thā mehmāñ ban kar
mirī ragoñ meñ vo ik āftāb chhoḌ gayā
gayā to saath vo letā gayā har ik naġhma
ḳhalā kī god meñ TuuTā rubāb chhoḌ gayā
milā na jazba-e-tashkīk ko libās koī
vo har savāl kā aisā javāb chhoḌ gayā
bikhertā hai 'karāmat' jo dard kī kirneñ
vo ḳhvāb zehn meñ ik māhtāb chhoḌ gayā