Karamat Ali Karamat

hath aa gaya hai jab se shuur-e-KHudi ka sanp

Karamat Ali Karamat

Cuttack, Odisha, India

1936

haath aa gayā hai jab se shu.ūr-e-ḳhudī saañp

siine pe loTtā hai ġham-e-zindagī saañp

apne badan se ḳhol anā utaar kar

phunkārtā hai shām-o-sahar āgahī saañp

maiñ kheltā huuñ us se magar jāntā huuñ ye

ik din mujhe Dasegā na.ī raushnī saañp

kyuuñ man mor pañkh na apne sameT le

āñgan meñ kheltā hai ġham-e-āshiqī saañp

mauj-e-sarāb bhī pata duur tak nahīñ

shiddat se Das rahā hai mujhe tishnagī saañp

tahzīb khañDar hai nigāhoñ ke sāmne

vo reñgtā hai dekhiye ik ḳhāmushī saañp

kyuuñ nīlkañTh ban ke na jā.ūñ us ko maiñ

jo zahr ugal rahā hai ġham-e-āgahī saañp

Top Urdushayar.com