jo lamhe TuuT chuke un ko joḌte kyuuñ ho
ye juḌ ga.e to unheñ phir se toḌte kyuuñ ho
mizāj-e-shams badal jā.egā to kyā hogā
jo zarre so.e haiñ un ko jhiñjhoḌte kyuuñ ho
kab āñsuoñ se miTā hai shigāf-e-ā.īna
jo shīsha TuuT chukā us ko joḌte kyuuñ ho
ye ret hai yahāñ miT jā.eñge tamām nuqūsh
tum apnā naqsh-e-qadam us pe chhoḌte kyuuñ ho
tumhārī samt zamāna bil-āḳhir aa.egā
tum apnī fikr kī samtoñ ko moḌte kyuuñ ho
tumhārī āñkhoñ ne baḳhshī hai gul ko namkīnī
tum apnī āñkhoñ meñ jalve nichoḌte kyuuñ ho
'karāmat' aise meñ sāñsoñ kā haal kyā hogā
sisakte lamhoñ kī gardan maroḌte kyuuñ ho