Karamat Ali Karamat

gulab mange hai ne mahtab mange hai

Karamat Ali Karamat

Cuttack, Odisha, India

1936
gulāb māñge hai ne māhtāb māñge hai
shu.ūr-e-fan to lahū kī sharāb māñge hai
vo us kā lutf-o-karam mujh ġharīq-e-isyāñ se
gunāh māñge hai aur be-hisāb māñge hai
havas kī baaḌh har ik bāñdh toḌnā chāhe
nazar kā husn magar intiḳhāb māñge hai
kahāñ ho kho.e hue lamho! lauT kar aao
hayāt umr-e-guzishta kā baab māñge hai
mire kalām meñ tā.ūs bhī hai shāhīñ bhī
sināñ ke saath mirā fan rubāb māñge hai
chaḌhā rahā hai salīboñ pe ham ko sadiyoñ se
zamāna phir bhī muqaddas kitāb māñge hai
na jaane kitnī ghaTā.eñ uThī haiñ rāhoñ meñ
magar hai pyaas ki har dam sarāb māñge hai
hai zaḳhm-ḳhurda mire dil kā aa.ina aisā
ḳhirad kī teġh se thoḌī sī aab māñge hai
vo merī fahm kā letā hai imtihāñ shāyad
ki har savāl se pahle javāb māñge hai
bikhar gayā thā jo kal raat kirchiyoñ kī tarah
mirī nigāh vo TuuTā sā ḳhvāb māñge hai
karāmat us se jo pūchhūñ ki zindagī kyā hai
javāb dene ke badle hubāb māñge hai
Top Urdushayar.com