mirī nigāh meñ lamhoñ kā ḳhvāb utrā thā
zamīñ kī sat.h pe yā māhtāb utrā thā
vo ḳhaas lamha jise umr-e-jāvedāñ kahiye
vo ban ke vasl kā jām-e-sharāb utrā thā
ye kaisī chuuk huī be-ḳhudī meñ ham se ki bas
tamām umr musalsal azaab utrā thā
muqābla kiyā jis peḌ ne havāoñ kā
usī pe barq-e-tapāñ kā itaab utrā thā
nadī jo pyaas bujhātī thī sab kī sadiyoñ se
ḳhud us kī pyaas bujhāne sarāb utrā thā
sahīfa-e-ġham-e-hastī kā jab huā thā nuzūl
to mujh pe soz-e-mohabbat kā baab utrā thā
'karāmat' us ko to jaanā thā āsmāñ se pare
vo qāfila jo sar-e-āftāb utrā thā