pahāḌ jo khaḌā huā thā ḳhvāb-sā ḳhayāl sā
bikhar gayā hai rāste meñ gard-e-māh-o-sāl sā
nazar kā farq kahiye is ko hijr hai visāl sā
uruuj kah rahe haiñ jis ko hai vahī zavāl sā
tumhārā lafz sach kā saath de sakā na duur tak
misāl jis kī de rahe ho hai vo be-misāl sā
ḳhulūs ke hiran ko DhūñD kar riyā ke shahr meñ
mire aziiz kar rahe ho tum ajab kamāl sā
adāvatoñ kī mauj jis zamīñ pe bo ga.ī namak
ugegā sabza-zār us jagah ye hai muhāl sā
shab-e-visāl ā.īñe meñ paḌ gayā shigāf kyūñ?
hamārā dil to saaf hai tumheñ hai kyuuñ malāl sā
'karāmat'-e-hazīñ farār ho ke hāl-e-zār se
guzishta ahd se milā to vo lagā hai haal sā