Karamat Ali Karamat

kahte hain log ye ki baDi dil-nashin hai sham

Karamat Ali Karamat

Cuttack, Odisha, India

1936
kahte haiñ log ye ki baḌī dil-nashīñ hai shaam
lekin mujhe ye lagtā hai andoh-gīñ hai shaam
ye ik chhalāvā hai ki pahāḌoñ kī aag hai
vahm-o-gumāñ kī shakl meñ jaise yaqīñ hai shaam
kyā us ko DhūñDte ho ḳhalāoñ ke darmiyāñ
tum apne dil meñ khoj ke dekho yahīñ hai shaam
ye kaisī machhliyāñ haiñ chamaktī haiñ raat bhar
ye jhiil hai ki ek nigāh-e-hasīñ hai shaam
donoñ kā vasl ho to shafaq-rañg ho ye dil
hai raat āsmān to goyā zamīñ hai shaam
din kā gunāh raat ke sar aa gayā hai kyūñ?
kyā shab kī be-gunāhī kī shāhid nahīñ hai shām?
ye to badal chukī hai 'karāmat' havā kā ruḳh
kaise kahūñ ki vaqt ke zer-e-nagīñ hai shaam
Top Urdushayar.com