Karamat Ali Karamat

ru-ba-ru gham ke ye taqdir kahan se aai

Karamat Ali Karamat

Cuttack, Odisha, India

1936
rū-ba-rū ġham ke ye taqdīr kahāñ se aa.ī
aur hathelī kī ye tahrīr kahāñ se aa.ī
dil ke goshe meñ jise maiñ ne chhupā rakkhā thā
tere album meñ vo tasvīr kahāñ se aa.ī
dabī ḳhvāhish kā thā iz.hār-e-tamāsha goyā
ḳhvāb thā ḳhvāb ye ta.abīr kahāñ se aa.ī
fan ko maidān khulā chāhiye jiine ke liye
raqs kī raah meñ zanjīr kahāñ se aa.ī
zindagī ke abhī āsār haiñ baaqī varna
daur-e-taḳhrīb meñ ta.amīr kahāñ se aa.ī
DhūñDne nikle the ham maut ke ma.anī lekin
zindagī kī na.ī tafsīr kahāñ se aa.ī
is ko aadam hī kī taqsīr kā samra kahiye
varna jannat kī ye jāgīr kahāñ se aa.ī
vaqt kā sail 'karāmat' tujhe le Duubā thā
yak-ba-yak ye tirī tadbīr kahāñ se aa.ī
Top Urdushayar.com