Karamat Ali Karamat

humne jab dard bhari apni kahani likkhi

Karamat Ali Karamat

Cuttack, Odisha, India

1936
ham ne jab dard bharī apnī kahānī likkhī
log kahne lage rūdād purānī likkhī
maiñ ne ik peḌ samundar ke jazīre se liyā
aur chaTTān pe paanī kī ravānī likkhī
ajnabī tarz liye maiñ nahīñ aayā huuñ yahāñ
dāstāñ apnī tumhārī hī zabānī likkhī
chashm-e-mahbūb ko nargis kā laqab tū ne diyā
maiñ ne sheroñ meñ magar ''rāt kī rānī'' likkhī
kaun sā vaqt amal kā hai javānī ke sivā?
niiñd kab aatī hai? pūchhā to javānī likkhī
raat jab aa.ī to din bhar kā fasāna likkhā
jab chalī bād-e-sahar shaam suhānī likkhī
bāġh-e-firdaus kī lorī maiñ sunātā kaise?
mirī qismat meñ thī āshufta-bayānī likkhī
ḳhushk thā merā qalam kuchh nahīñ likh paatā thā
likhne baiThā to baḌī raam kahānī likkhī
tum ne jab harf ko ḳhvāboñ kā safar kah Daalā
maiñ ne bhī lafz kī ta.abīr-e-ma.ānī likkhī
narm-o-nāzuk thā 'karāmat' tire sheroñ kā mizāj
vaqt paḌne pe magar sho.ala-bayānī likkhī
Top Urdushayar.com