ye kaun kahtā hai tū halqa-e-naqāb meñ aa?
shu.ūr-e-rañg-e-vafā ban ke āftāb meñ aa
fazā ko tū ne mo.attar kiyā to kyā hāsil?
mazā to jab hai ki phir lauT kar gulāb meñ aa
maiñ lafz lafz meñ tujh ko talāsh kartā huuñ
savāl meñ nahīñ aatā na aa javāb meñ aa
ghuTā ghuTā sā na rah tajraboñ ke mahbas meñ
sarīr-e-vaqt kī rāhoñ se tū kitāb meñ aa
jalā ke tāq-e-adam meñ masarratoñ ke charāġh
tū aarzū ke chamakte hue sarāb meñ aa
falak kī had se pare hai tirī uḌaan to kyaa?
magar kabhī kabhī dhartī ke is azaab meñ aa
nāniyat kā nasha ban ke chhā na mahfil par
utarnā hai to utar kar sharāb-e-nāb meñ aa
'karāmat' aaj zamāna jo de rahā hai daġhā
zarā sī baat pe hargiz na iztirāb meñ aa