hastī ko jamāl de rahā huuñ
maiñ terī misāl de rahā huuñ
ma.anī pe chaḌhā ke ġhāza-e-nau
lafzoñ ko ḳhayāl de rahā huuñ
maazī pe nigah hai apnī gahrī
fardā ko maiñ haal de rahā huuñ
mushkil bhī hai aur sahal bhī hai
aisā maiñ savāl de rahā huuñ
shīshagarī hai ajiib merī
ā.īne ko baal de rahā huuñ
māhaul meñ hai kuchh aisī ḳhunkī
jazbāt ko shaal de rahā huuñ
kyuuñ āriz-e-vaqt ab na nikhre
fan kā hasīñ ḳhaal de rahā huuñ
imroz ke jitne haiñ masā.il
fardā hī pe Taal de rahā huuñ
phañs kar yuuñ shikanje meñ gunah ke
makḌī ko maiñ jaal de rahā huuñ
gumrāh zamāna hai to kyā ġham?
sham-e-mah-o-sāl de rahā huuñ
dil TuuT gayā to kyā 'karāmat'
paiġhām-e-visāl de rahā huuñ