jo naam sab se ho pyārā use makān pe likh
badan kī had se guzar aur is ko jaan pe likh
bajā hai karte haiñ paanī pe dastaḳhat sab log
jo hausla hai to naam apnā āsmān pe likh
tū likhne baiThā hai mere ḳhulūs kā qissa
yaqīn par nahīñ likhtā na likh gumān pe likh
sahīfa-e-dil-e-betāb kī na.ī tafsīr
qalam uThā aur use vaqt kī zabān pe likh
safar mudām safar hī to hai safar kā sila
tū apnā qissa-e-lā-samtiyat uḌaan pe likh
sañvār shāna-e-fan se tū zulf-e-qaus-e-quzah
tū zindagī ke ḳham-o-pech phir kamān pe likh
jo ''qul'' masūr pe likhte haiñ un kā fan hai judā
tū ḳhūn-e-dil se koī sher martabān pe likh
har ek chiiz yahāñ prem hī se miltī hai
ye ishtihār 'karāmat' tū har dukān pe likh