Imdad Ali Bahr

hum KHizan ki agar KHabar rakhte

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ham ḳhizāñ kī agar ḳhabar rakhte
āshiyāne meñ phuul bhar rakhte
ham agar ishq meñ asar rakhte
amradoñ ko ġhulām kar rakhte
mere dil ko samajhte arsh-e-barīñ
ye sitāre agar nazar rakhte
kyā ḳhabar thī ki daam hai vo zulf
ham bhī faulād kā jigar rakhte
saath rañg-e-chaman ke uḌ jaate
aaj ham bhī jo bāl-o-par rakhte
raah detā jo us ke aane kī
zaaġh ke aage ham jigar rakhte
yaar kī donoñ āñkheñ qātil thiiñ
ik nazar ham kidhar kidhar rakhte
bhed apnā diyā na us dil ne
ham bhī kuchh apnī fikr kar rakhte
yahī shikva hai be-vafāoñ se
ham na marte jo ye ḳhabar rakhte
sañg-e-dil tujh ko jānte ham agar
sabr kī sil kaleje par rakhte
gūñdhte vo khajūr se juuTe aaj
haath apne jo kuchh hunar rakhte
āñkheñ ro ro ke kyuuñ sajāte ho
'bahr' aañsū nahīñ asar rakhte
Top Urdushayar.com