bhuul jaate haiñ taqaddus ke hasīñ pal kitne
log jazbāt meñ ho jaate haiñ pāgal kitne
roz ḳhushbū ke muqaddar meñ rahī ḳhud-sozī
apnī hī aag meñ jalte rahe sandal kitne
sabz mausam na yahāñ phir se palaT kar aayā
ho ga.e zard mire gaañv ke pīpal kitne
ḳhud-kushī qatl-e-anā tark-e-tamannā bairāg
zindagī tere nazar aane lage hal kitne
bārisheñ hotī haiñ jis vaqt bharī āñkhoñ kī
raakh ho jaate haiñ jalte hue āñchal kitne
har qadam koī darinda koī ḳhuñḳhār uqaab
shahr kī god meñ ābād haiñ jañgal kitne
be-ruḳhī us kī rulā.egī lahū kyā 'shabnam'
zaḳhm khāte hī rahe ham to musalsal kitne