ḳhud-farebī hai daġhā-bāzī hai ayyārī hai
aaj ke daur meñ jiinā bhī adākārī hai
tum jo pardes se aao to yaqīñ aa jaa.e
ab ke barsāt ye sunte haiñ baḌī pyārī hai
mere āñgan meñ to kāñTe bhī hare ho na sake
us kī chhat pe to mahaktī huī phulvārī hai
chūḌiyāñ kāñch kī qātil na kahīñ ban jaa.eñ
sehr-añgez burī un kī gulū-kārī hai
kaash bijlī koī chamke koī bādal barse
aaj kī shaam zamīnoñ pe bahut bhārī hai
khā ga.ī garmi-e-jazbāt ko rasmoñ kī havā
aaj har shaḳhs faqat barf kī almārī hai
maiñ bhī rādhā se koī kam to nahīñ huuñ 'shabnam'
sāñvle rañg kā merā bhī to girdhārī hai