abr chhāyā thā fazāoñ meñ tirī bātoñ kā
kitnā dilkash thā vo manzar bharī barsātoñ kā
bujhtī sham.oñ ke ta.affun se bachāne tujh ko
maiñ ne āñchal meñ sameTā hai dhuāñ rātoñ kā
koī shahnā.ī se kah do zarā ḳhāmosh rahe
shor achchhā nahīñ lagtā mujhe bārātoñ kā
laakh darvāze hoñ chup aur darīche ḳhāmosh
chūḌiyāñ raaz ugaltī haiñ mulāqātoñ kā
dhuup bhī tez hai 'shabnam' kā bharosā bhī nahīñ
vaqt bhī baaqī nahīñ ab to munājātoñ kā