ghire haiñ chāroñ taraf bekasī ke bādal phir
sulag rahā hai sitāroñ bharā ik āñchal phir
bas ek baar un āñkhoñ ko us ne chūmā thā
hamesha nam hī rahā āñsuoñ se kājal phir
ye kaisī aag hai jo por por raushan hai
ye kis ne rakh dī mirī uñgliyoñ pe mash.al phir
phir ab kī baar lahū-rañg bārisheñ barseñ
kisī ne kaaT diye haiñ saroñ ke jañgal phir
ragoñ meñ taptī huī ḳhushbueñ machalne lagīñ
malā badan pe na.e mausamoñ ne sandal phir
kahīñ to ret se chashma nikal hī aa.egā
bhaTak rahā hai vo kāñdhoñ pe le ke chhāgal phir
phir us akelī bharī dopahar ne jhulsā hai
ki yaad aane lagā sub.h se vo pāgal phir