Rafia Shabnam Abidi

may ka aag lagata hua mahina tha

Rafia Shabnam Abidi

may kā aag lagātā huā mahīna thā
ghaTā ne mujh se mirā āftāb chhīnā thā
bajā ki tujh sā rafūgar na mil sakā lekin
ye taar taar vajūd ek din to siinā thā
use ye zid thī ki har saañs us kī ḳhātir ho
magar mujhe to zamāne ke saath jiinā thā
ye ham hī the jo bachā laa.e apnī jaañ de kar
havā kī zad pe tirī yaad kā safīna thā
nadī ḳhajil thī ki bhīgī huī thī paanī meñ
magar pahāḌ ke māthe pe kyuuñ pasīnā thā
tum un sulagte hue āñsuoñ kā ġham na karo
hameñ to roz hī ye zahr hañs ke piinā thā
tamām-umr kisī kā na ban sakā 'shabnam'
vo jis ko baat banāne kā bhī qarīnā thā
Top Urdushayar.com