ek ik kar ke sabhī log bichhaḌ jaate haiñ
dil ke jañgal yūñhī baste haiñ ujaḌ jaate haiñ
kaise ḳhush-rañg huuñ ḳhush-zā.eqa phal huuñ lekin
vaqt par chakkhe nahīñ jaa.eñ to saḌ jaate haiñ
apne lafzoñ ke ta.assur kā zarā dhyān rahe
hākim-e-shahr kabhī log bhī uḌ jaate haiñ
ret tārīḳh ke siine meñ haTāte haiñ vahī
aable pyāsī zabānoñ meñ jo paḌ jaate haiñ
aise kuchh haath bhī hote haiñ ki jin ke kañgan
toḌne vaale ke ehsās meñ gaḌ jaate haiñ
'shabnam' andāz-e-takallum meñ kashish lāzim hai
varna alfāz simaTte haiñ sikaḌ jaate haiñ