badaltī rut pe havāoñ ke saḳht pahre the
lahū lahū thī nazar daaġh daaġh chehre the
ye raaz khul na sakā harf-e-nārsā pe mire
sadā.eñ tez bahut thiiñ ki log bahre the
vo pūjne kī siyāsat se ḳhuub vāqif thā
vahī chaḌhā.e jo geñde ke zard sehre the
jo bhaa.ī lauT ke aa.e kabhī na dariyā se
unhīñ ke baazū qavī the badan ikahre the
usī sabab se mirā aks TuuT TuuT gayā
us aa.ine meñ ka.ī aur bhī to chehre the
samundaroñ kā vo pyāsā thā aur os thī maiñ
vo abr lauT gayā jis ke lab sunahre the
in āñchaloñ pe koī sajda-rez ho na sakā
ki jin ke rañg bahut shoḳh aur gahre the
samā.atoñ ke dhuñdlakoñ meñ kho ga.e 'shabnam'
vo saare lafz jo palkoñ pe aa ke Thahre the