roz uThtā hai dhuāñ koh-e-nidā ke us paar
chāñd chup-chāp sulagtā hai fazā ke us paar
bhiig jaatī hai ye ma.asūm sī dhartī har sub.h
kaun rotā hai batāo to ghaTā ke us paar
sarhad-e-jism se aage had-e-imkāñ se pare
shahr-e-jāñ rahtā hai dīvār-e-anā ke us paar
nekiyāñ bāñTte rahne kī sazā lāzim hai
paara paara hai badan kū-e-jazā ke us paar
maiñ ki mañjdhār meñ huuñ kaun nikāle 'shabnam'
chhup gayā vo to kahīñ mujh ko bulā ke us paar