Rafia Shabnam Abidi

na-rasai ka chalo jashn manaen hum log

Rafia Shabnam Abidi

nā-rasā.ī kā chalo jashn manā.eñ ham log
shāyad is tarah se kuchh kho.eñ to paa.eñ ham log
ret hī ret agar apnā muqaddar Thahrā
kyūñki phir ek gharauñdā hī banā.eñ ham log
jism kī qaid koī qaid nahīñ hotī hai
aao sab jhūTī hadeñ toḌ ke jaa.eñ ham log
is badalte hue mausam kā bharosā bhī nahīñ
giilī miTTī pe koī naqsh sajā.eñ ham log
rok pā.eñge na lamhāt ke mausam ham ko
ek dīvār zamāna to havā.eñ ham log
apne jazbāt ke pākīza tahaffuz ke liye
kabhī malbūs kabhī garm ridā.eñ ham log
koī sūraj na kisī raat ke dāman meñ girā
māñgte hī rahe sadiyoñ se duā.eñ ham log
chāñd utrā nahīñ ab tak bhī zamīñ par 'shabnam'
ek muddat huī dete haiñ sadā.eñ ham log
Top Urdushayar.com