zaat ke karb ko lafzoñ meñ dabā.e rakkhā
mez par terī kitāboñ ko sajā.e rakkhā
tū ne ik shaam jo aane kā kiyā thā va.ada
maiñ ne din-rāt charāġhoñ ko jalā.e rakkhā
kis salīqe se ḳhayāloñ ko zabāñ de de kar
mujh ko us shaḳhs ne bātoñ meñ lagā.e rakhā
maiñ vo siitā ki jo lachhman ke hisāroñ meñ rahī
ham vo jogī ki alakh phir bhī jagā.e rakkhā
shāyad aa jaa.e kisī roz vo sajda karne
isī ummīd pe āñchal ko bichhā.e rakkhā
chūḌiyāñ rakh na sakīñ merī namāzoñ kā bharam
phir bhī hāthoñ ko duāoñ meñ uThā.e rakkhā
jaane kyuuñ aa ga.ī phir yaad usī mausam kī
jis ne 'shabnam' ko havāoñ se bachā.e rakkhā