Azra Naqvi

kisi ehsas mein pahli si ab shiddat nahin hoti

Azra Naqvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1952
kisī ehsās meñ pahlī sī ab shiddat nahīñ hotī
ki ab to dil ke sannāTe se bhī vahshat nahīñ hotī
zamāne-bhar ke ġham apnā liye haiñ ḳhud-farebī meñ
ḳhud apne ġham se milne kī hameñ fursat nahīñ hotī
guzar jaatī hai saarī zindagī jin ke ta.āqub meñ
bagūle haiñ kisī bhī ḳhvāb kī sūrat nahīñ hotī
qasam khaa.ī hai ham ne bārhā ḳhāmosh rahne kī
magar ghuT-ghuT ke rahne kī abhī aadat nahīñ hotī
use maiñ āgahī kā faiz samjhūñ yā sazā samjhūñ
hameñ duniyā kī nairañgī pe ab hairat nahīñ hotī
jahāñ par makr-o-fan ādāb-e-mahfil ban ke chhāyā ho
hameñ aisī kisī mahfil se kuchh nisbat nahīñ hotī
hazāroñ an-kahī bāteñ jinheñ likhne ko jī chāhe
kabhī himmat nahīñ hotī kabhī fursat nahīñ hotī
Top Urdushayar.com