Azra Naqvi

ye dil bas mein kabhi mere raha nain

Azra Naqvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1952
ye dil bas meñ kabhī mere rahā na.iiñ
kabhī yādoñ kā dāman chhoḌtā na.iiñ
bhulā.eñ kaise amrohe kī galiyāñ
abhī lahje se amroha gayā na.iiñ
yahīñ gum-karda apnā āshiyāñ thā
jahāñ baaqī koī ab āshnā na.iiñ
shikasta ho chuke mehrāb-o-dar sab
abhī tak zehn se naqsha gayā na.iiñ
hamāre naam kī taḳhtī nahīñ hai
magar vo ghar to ḳhvāboñ se gayā na.iiñ
maiñ samjhūñ huuñ tumhārī be-qarārī
miyāñ guzrā zamāna lauTtā na.iiñ
kisī saffāk hijrat ke sitam se
zamīñ se apnā rishta TūTtā na.iiñ
tumhārī shā.irāna be-ḳhudī ko
kisī sarhad pe koī roktā na.iiñ
bahut thī dhuum jashn-e-reḳhta meñ
tumhāre naam kī tum ne sunā na.iiñ
tumhārī shā.irī par sar dhune haiñ
magar ye log urdu āshnā na.iiñ
paḌī hai shā.irī ghuTTī meñ 'azrā'
magar kuchh mo'atabar ab tak kahā na.iiñ
Top Urdushayar.com