Azra Naqvi

dastan-e-zindagi likhte magar rahne diya

Azra Naqvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1952
dāstān-e-zindagī likhte magar rahne diyā
us ke har kirdār ko bas mo'atabar rahne diyā
koī manzil koī mafrūza na thā pesh-e-nazar
zer-e-pā ik rah-guzar thī rahguzar rahne diyā
dil ke har mausam ne baḳhshī daulat-e-ehsās-o-dard
sirf is sarmā.e ko zād-e-safar rahne diyā
saath ik ḳhush-bāsh lahja mahfiloñ meñ le ke aa.e
dil kī vīrānī ko tanhā apne ghar rahne diyā
shor kartī bhāgtī duniyā meñ shāmil bhī rahe
ek sur maddham sā dil ke saaz par rahne diyā
vaqt ke bahte hue dariyā pe kashtī Daal kar
saare andeshoñ se ḳhud ko be-ḳhabar rahne diyā
ḳhud-ġharaz thoḌā sā honā bhī zarūrī thā magar
tajraboñ se siikh kar bhī ye hunar rahne diyā
saarī duniyā ke liye har shab duā-e-ḳhair kī
zikr apnī ḳhvāhishoñ kā muḳhtasar rahne diyā
kyuuñ koī dekhe hamāre dil kī saarī mumlikat
ik jhalak dikhlā.ī hai aur beshtar rahne diyā
kaun dāman-gīr hai aksar ye kartā hai savāl
kar to saktīñ thiiñ bahut kuchh tum magar rahne diyā
Top Urdushayar.com