Azra Naqvi

bahut dinon se hamara KHwabon se koi bhi rabta nahin hai

Azra Naqvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1952
bahut dinoñ se hamārā ḳhvāboñ se koī bhī rābta nahīñ hai
kuchh aise kār-e-jahāñ meñ kho.e ki apnā bhī kuchh pata nahīñ hai
ye nā-umīdī kī intihā hai ki āgahī kī hai koī manzil
ye dil ko kyā āriza huā hai ise kisī se gila nahīñ hai
hamesha sach bolne kī aadat hai kyā ye sach bolte raheñge
qadam qadam par hai āzmā.ish sahal koī marhala nahīñ hai
ham un kī har baat maan lete to zindagī chain se guzartī
bas izzat-e-nafs roktī hai anā kā ye mas.ala nahīñ hai
bas ik pareshāñ hujūm ke saath ham bhī shāmil haiñ chal rahe haiñ
na koī naqsh-e-qadam salāmat kahīñ koī rāsta nahīñ hai
ye shaam itnī ujaaḌ kyuuñ hai nayā koī hādisa huā hai
ye ḳhuuñ kī surḳhī shafaq ke rañgoñ meñ ghul ga.ī be-vajah nahīñ hai
sitāra-e-sub.h DhūñDte haiñ ġhubār-ālūda mausamoñ meñ
nazar se ojhal to ho gayā hai magar abhī gum-shuda nahīñ hai
jo mil gayā vo nasīb samjhā jo mil na paayā sarāb jaanā
guzār leñ jo bhī zindagī hai ki kal kā koī pata nahīñ hai
yūñhī bhaTakte phireñge kab tak ḳhud apne andar talāsh kar leñ
jahāñ mukammal sukūñ mayassar ho aisī koī jagah nahīñ hai
Top Urdushayar.com