Azra Naqvi

airport station saDkon par hain kitne sare log

Azra Naqvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1952
airport station saḌkoñ par haiñ kitne saare log
jaane kaun se sukh kī ḳhātir phirte maare maare log
shaam ga.e ye manzar ham ne mulkoñ mulkoñ dekhā hai
ghar lauTeñ bojhal qadmoñ se bujhe hue añgāre log
sab se shākī ḳhud se nālāñ apnī aag meñ jalte haiñ
dukh ke sivā aur kyā bāñTeñge in jaise añdhiyāre log
pur-nam āñkhoñ bojhal dil se kitnī baar vidā.ī lī
kitnā bojh liye phirte haiñ ham jaise banjāre log
vo kitne ḳhush-qismat the jo apne gharoñ ko lauT ga.e
shahroñ shahroñ ghuum rahe haiñ ham hālāt ke maare log
raat ga.e yādoñ ke jañgal meñ dīvālī hotī hai
diip sajā.e aa jaate haiñ bhūle bisre pyāre log
bachpan kitnā pyārā thā jab dil ko yaqīñ aa jaatā thā
marte haiñ to ban jaate haiñ āsmān ke taare log
Top Urdushayar.com