Azra Naqvi

kaise kaise swang rachae humne duniya-dari mein

Azra Naqvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1952
kaise kaise svāñg rachā.e ham ne duniyā-dārī meñ
yuuñ hī saarī umar gañvā dī auroñ ġham-ḳhvārī meñ
ham bhī kitne sāda-dil the sīdhī sachchī baat kareñ
logoñ ne kyā kyā kah Daalā lahjoñ kī tah-dārī meñ
jab duniyā par bas na chale to andar andar khuḌhnā kyā
kuchh bele ke phuul khilā.eñ āñgan kī phulvārī meñ
ka.ī dinoñ se jism o jaañ par ik be-kaifī chhā.ī hai
bhiig rahī hai raat sunāo koī ġhazal darbārī meñ
aane vaale kal kī ḳhātir har har pal qurbān kiyā
haal ko dafnā dete haiñ ham jiine kī tayyārī meñ
tum bhī in biite barsoñ kī koī nishānī le aanā
maiñ tum se milne ā.ūñgī isī basantī saarī meñ
ab kī baar jo ghar jaanā to saare album le aanā
vaqt kī dīmak lag jaatī hai yādoñ kī almārī meñ
Top Urdushayar.com